Computer Control Panel Ki Basic Jankari- कंट्रोल पैनल की पूरी जानकारी

Rate this post

Computer Control Panel Ki Basic Jankari – कंप्यूटर के control पैनल कि सामान्य जानकारी

control panel kya hai
Control Panel
Dosto Techno Ganpat Blog me apka sawagat hai. Aaj hum Janege Ki Control Panel Kya hai or isme kon-kon se Icons hote hai sath hi unke kary ke bare me b hi janege. To friends Calo Jante hai Control Panel kya hota hai.
Hamare Computer ya Laptop me Control Panel Bahut hi bade kam ki chij hai, iski madad se hi hum apne computer ki setting kar sakte hai kuch ko to ye bhi nahi pata ki control panel me kis-kis ki setting hai ya kabhi unhe jarurat hi nahi padi ki control panel me jane ki lekin kuch kaash baat hoti hai control panel me jo shayad aap nahi jante honge.
Control Panel ek tarah se Application Windows hai Jo ki Computer ki setting me badlav karne ke liye kam me liya jata hai. Pratyek viklap me badlav karne ke liye alag alag Icon bane hote hai. Jaise :- Display,Font,Clock,Setting or And Remove Program Aadi. Iske andar ke Icons program Icon ki tarah se kary karte, in icon ko move, copy or Delete nahi kiya ja sakte hai.
Control Panel Ke Icons:-
Font
computer font
Computer Font
Agar aap apne conputer me image editing karte hai to apko Font ki jankari hona bahut hi jaruri hai. Is option me aap apne computer ke sabhi Fonts dekh sakte hai . Font vikalp ki sahayata se hum koi naye Font install kar sakte hai jo ki word pad, paint aadi me kam me liye ja sakte hai. Is option par double click karne par dialog box pradsit hota hai, Jo Installed fonts ko darshata hai or naye Font ko Install karne ke liye file menu ke install font viklap ka prayog karte hai.
Mouse
Mouse computer ki sabse mahatavpuran Device hai . Hum Mouse ke bina sayad computer chalane ki bhi nahi soch sakte. Is option ki sahayta se hum mouse ki tracking v double click ki gati me parivartan kar sakte hai or is option ki sahayata se hum left v right button ke kary me bhi badlav kar sakte hai, sath hi mouse ke any kary ya uske pointer me bhi badlav kiya ja sakta hai.
Key-Board
Is option ki sahayta se key-board ki setting change kar sakte hai or sath hi apne key-board ki language ko bhi badla ja sakta hai.
Printer
Is option ki sahayata se hum naye printer ko add kar sakte hai or kisi purane Installed Printer ko hata hai.
Date And Time
Is option ke dwara Computer ki Date or time ko badla ja sakta hai.
Sound
Is option ke dwara hum sound kard ki setting kar sakte hai or alag-alag events ke liye ek alag sound set kar sakte hai.
Display
Is option ke dwara hum Desktop ke Wallpapar or Screensaver aadi ko badal sakte hai.
Ye Bhi Padhe :-

So Thanks For Read This Article Computer Control Panel Ki Basic Jankari Comment Now And This Article.

नमस्कार ! मेरा नाम गणपत ईणकिया है और इस Best Hindi Blog का संस्थापक हूँ. मुझे ब्लॉग्गिंग, एसईओ और डिजिटल मार्केटिंग जैसे विषयों पर गहरी नॉलेज है! हमारे ब्लॉग पर आने के लिए धन्यवाद.

Sharing Is Caring:

Leave a Comment